Tuesday, 26 March 2019

Farz karo hum ehl-e-wafaa hon

Farz karo hum ehl-e-wafaa hon, farz karo deewane hon,
Farz karo yeh donon baten jhooti hon, afsane hon,

Farz karo yeh jee ki bipta jee se jorr sunayi ho,
Farz karo abhi aur ho itni aadhi hum ne chupaayi ho,

Farz karo tumhen khush karne ke dhoonde hum ne bahane hon,
Farz kar yeh nain tumhare sachh-much ke mai-khane hon,

Farz karo yeh rog ho jhoota, jhooti peet hamari ho,
Farz karo is peet ke rog main saans bhi hum par bhari ho,

Farz karo yeh jog ba-jog ka hum ne dhong rachaya ho,
Farz karo bas yehi haqeeqat, baqi sab kuch maya ho,

Dekh meri jaan keh gaye baahu kaun dilon ki jaane huu,
Basti basti sehraa sehraa lakhon karen deewane huu,

Jogi bhi jo nagar nagar main maare maare phirte hain,
Kaasa liye bhabuut ramaye sab ke dvare phirte hain,

Shayar bhi jo meethi baani bol ke mann ko harte hain,
Banjare jo unche damon jee ke saude karte hain,

In main sache moti bhi hain, in main kankar pathar bhi,
In main uthle paani bhi hain, in main gehre saagar bhi,

Gori dekh ke aage barrhna sab ka jhoota sacha huu,
Doobne wali doob gayi woh gharra tha jis kacha huu..


Poet :    Ibn e insha

Shared By
Admin

URDU SHAYARI

https://www.facebook.com/UrduShayaeri/

0 comments:

This Month Trending