Sunday, 24 March 2019

Baat karni mujhe mushkil kabhi aesi to na thi

Baat karni mujhe mushkil kabhi aesi to na thi,
Jaisi ab hai teri mehfil kabhi aisi to na thi,

Le geya chheen ke kaun aaj tera sabr-o-qaraar,
Beqaraari tujhe ae dil kabhi aesi to na thi,

Uss ki ankhon ne khuda jaane kiya kya jaadu,
Ke tabiyat meri maayel kabhi aisi to na thi,

Akss-e-rukhsaar ne kis ke hai tujhe chamkaaya,
Taab tujh main mah-e-kamil kabhi aesi to na thi,

Ab ke jo raah-e-mohabbat main uthaayi takleef,
Sakht hoti humen manzil kabhi aisi to na thi,

Nigaah-e-yaar ko ab kyun hai taghaaful ae dil,
Woh tere haal se ghaafil kabhi aisi to na thi,

Chashm-e-qatil meri dushman thi hamesha lekin,
Jaisi ab ho gayi qaatil kabhi aesi to na thi,

Kya sabbab tu jo bigarrta hai “zafar” se har baar,
Khuu teri huur-shamaayel kabhi aesi to na thi..

Poet :    Bahadur Shah Zafar

Shared By
Admin

URDU SHAYARI

https://www.facebook.com/UrduShayaeri/

0 comments:

This Month Trending