Saturday 10 February 2018

Ab Ke Hum Bichde To Shaayad Kabhi Khwaabon Mein Mile Ge

Ab Ke Hum Bichde To Shaayad Kabhi Khwaabon Mein Mile Ge

https://go.oclasrv.com/afu.php?zoneid=1547316

Ab Ke Hum Bichde To Shaayad Kabhi Khwaabon Mein Mile Ge
Jis Tarha Sokhey Howe Phool Kitabon Mein Mile Ge 


Dhond Ujde Howe Logo Mein Wafa Ke Moti
Ye Khazane Tujhe Mumkin Hai Kharabon Mein Mile Ge


Gham-E-Dunya Bhi Gham-E-Yaar Mein Shamil Kar Lo
Nasha Badhta Hai Sharabein Jo Sharabon Mein Mile Ge


Tu Khuda Hai Na Mera Ishq Farishton Jesa
Dono Insan Hein To Kyun Na Hijabon Mein Mile Ge


Aaj Hum Daar Mein Kheche Gae Jin Baton Per
Kya Ajab Kal Woh Zamane Ko Nisabon Mein Mile Ge


Ab Na Woh Main Hon, Na Tu Hai, Na Woh Mazi Hai Faraz
Jese Do Saey Tamanna Ke Sarabon Mein Mile Ge

Poet : Ahmed Faraz

Shared By
Admin


P3INCE  H@MM@D

https://www.facebook.com/PrinceHammad122

 

1 comment:

This Month Trending