Tum Daon Pe is Baar Muqaddar Bhi Laga Do
Aaye ho toh ek mohar-e-gadagar bhi laga do, iss chaand se maathe pe ye jhumar bhi laga do.
Ajdaad ki khushboo mujhe jeene nahin degi, iss ped ke neeche mera bistar bhi laga do.
Mumkin hai mere baad ki naslen mujhe dhundhen, buniyaad mein ek naam ka patthar bhi laga do.
Iss jung mein haare hue kehlaaoge tum hi, chaaho toh numaaish mein mera sar bhi laga do.
Ab sirf jahaazon mein safar karti hai pagli, bachpan mein jo kehti thi mere par bhi laga do.
Ye baazi toh main haath se jaane nahin dunga, tum daaon pe iss baar muqaddar bhi laga do
Poet : Munawwar Rana
Shared By
Admin
P3INCE H@MM@D

0 comments: