Badalta Hai Rang Aasmaan Kaise Kaise February 08, 2018 Leave a Reply Badalta Hai Rang Aasmaan Kaise Kaise Dahan Par Hain Unke Gumaan Kaise Kaise, Kalaam Aate Hain Darmiyaan Kaise Kaise, Zameen-E-Chaman Gul Khilati Hai Kya Kya, Badalta Hai Rang Aasmaan Kaise Kaise, Na Gor-E-Sikandar Hai Na Qabar-E-Dara, Mite Naamion Ke Nishaan Kaise Kaise, Bahr-E-Gulistaan Ki Hai Aamad Aamad, Ke Phirte Hain Khush Baghbaan Kaise Kaise, Tawajju Ne Teri Hamaare Maseeha, Tawaana Kijiye Naa-Tawan Kaise Kaise, Dil-O-Deeda-E-Ahl-E-Aalam Mein Ghar Hai, Tumhaare Liye Hain Makaan Kaise Kaise, Gham-O-Ghussa-O-Rang-O-Andoh-O-Hirman, Hamaare Bhi Hain Mehrbaan Kaise Kaise, Kare Jis Qadar Shukr-E-Nemat Woh Kam Hai, Mazaa Lootati Hai Zabaan Kaise Kaise ... Poet : Haider Ali Atish Shared By Admin P3INCE H@MM@D Tweet Share Share Share Share
0 comments: