Friday 23 February 2018

Magar Usko Fareb-e-nargis-e-mastaana Aata hai

magar usko fareb-e-nargis-e-mastaana aata hai
https://go.oclasrv.com/afu.php?zoneid=1547316
magar usko fareb-e-nargis-e-mastaana aata hai
ulaT-ti haiN safeN, gardish meN jab paimaana aata hai

Khushii se apnii rusvaaii gavaaraa ho nahiiN saktii
girebaaN phaaDtaa hai, tang jab diivaana aata hai

firaaq-e-yaar meN dil par nahiiN maaluum kyaa guzrii!
jo ashk aataa hai aaNkhoN meN so betaabaana aata hai

tamashagah-e-hastii meN adam ka dhyaan hai kisko?
kise is anjuman meN yaad KhilwatKhaana aata hai?

Khudaa ka ghar hai, butKhaana hamara dil nahiiN Aatash
muqaam-aashnaa hai, yaaN nahiiN begaana aata hai

Poet : Khwaja Haider Ali 
Also Known As Atish Haider Ali or Atish 

Shared By 

Jabir Kakkar
https://www.facebook.com/jabirkakar.jabirkakar

0 comments:

This Month Trending