Monday, 25 March 2019

Hum hi main thi na koi baat

Hum hi main thi na koi baat yaad na tum ko aa sake,
Tum ne humen bhulaa diya hum na tumhe bhulaa sake,

Tum hi na sun sake agar qissa -e- gham sunay ga kon,
Kis ki zabaan khule gi phir hum na agar sunaa sake,

Hosh main aa chuke thay hum josh main aa chuke thay hum,
Bazm ka rang dekh kar sar na magar uthaa sake,

Ronaq-e-bazm ban gaye lab pe hikayaten rahin,
Dil main shikayaten rahin lab na magar hilaa sake,

Shauq-e-visaal hai yahan lab pe sawal hai yahan,
Kisi ki majaal hai yahan hum se nazar mil sake,

Aesa ho koi nama-e-bar baat pe kaan dhar sake,
Sun ke yaqeen kar sake ja ke unhe sunaa sake,

Ajazz se aur barrh gayi barhami mizaj-e-dost,
Ab woh kare ilaaj dost jis ki samajh main aa sake,

Ehl-e-zabaan to hain bohat koi nahin hai ehl-e-dil,
Kon teri tarah hafeez dard ke geet gaa sake..

Poet :    Hafeez Jalandhari

Shared By
Admin

URDU SHAYARI

https://www.facebook.com/UrduShayaeri/

0 comments:

This Month Trending