Saturday 30 March 2019

Ki Hai Koi Haseen Khata Har Khata Ke Sath

 Ki hai koi haseen khata har khata ke saath,
thoda sa pyaar bhi mujhe de do saza ke saath.

Gar doobna hi apna muqaddar hai toh suno,
doobenge hum zaroor magar na-khuda ke saath.

Lau de uthe hawa ko bhi daaman toh kya ghazab,
yun hi chiraagh uljhate rahe gar hawa ke saath.

Manzil se woh bhi door tha aur hum bhi door the,
hum ne bhi dhool udaayi bahut rahnuma ke saath.

Raqs-e-saba ke jashn mein hum tum bhi naachte,
aye kaash tum bhi aa gaye hote saba ke saath.

Ikkiswin sadi ki taraf hum chale toh hain,
fitne bhi jaag uthe hain aawaz-e-paa ke saath.

Aisa laga ghareebi ki rekha se hun buland,
poochha kisi ne haal kuchh aisi adaa ke saath.

 URDU VERSION

کی ہے کوئی حسین خطا ہر خطا کے ساتھ
تھوڑا سا پیار بھی مجھے دے دو سزا کے ساتھ
گر ڈوبنا ہی اپنا مقدر ہے تو سنو
ڈوبیں گے ہم ضرور مگر ناخدا کے ساتھ
منزل سے وہ بھی دور تھا اور ہم بھی دور تھے
ہم نے بھی دھول اڑائی بہت رہ نما کے ساتھ
رقص صبا کے جشن میں ہم تم بھی ناچتے
اے کاش تم بھی آ گئے ہوتے صبا کے ساتھ
اکیسویں صدی کی طرف ہم چلے تو ہیں
فتنے بھی جاگ اٹھے ہیں آواز پا کے ساتھ
ایسا لگا غریبی کی ریکھا سے ہوں بلند
پوچھا کسی نے حال کچھ ایسی ادا کے ساتھ


Poet :      Kaifi Azmi

Shared By
Admin

URDU SHAYARI

https://www.facebook.com/UrduShayaeri/

0 comments:

This Month Trending