Saturday 23 March 2019

Jo Din Tha Aik Musebat To Raat Bhari Thi

JO DIN THĀ EK MUSĪBAT TO RAAT BHĀRĪ THĪ

GUZĀRNĪ THĪ MAGAR ZINDAGĪ, GUZĀRĪ THĪ

SAVĀD-E-SHAUQ MEÑ AISE BHĪ KUCHH MAQĀM AA.E

NA MUJH KO APNĪ ḲHABAR THĪ NA KUCHH TUMHĀRĪ THĪ

LARAZTE HĀTHOÑ SE DĪVĀR LIPTĪ JAATĪ THĪ

NA PŪCHH KIS TARAH TASVĪR VO UTĀRĪ THĪ

JO PYAAR HAM NE KIYĀ THĀ VO KĀROBĀR NA THĀ

NA TUM NE JIITĪ YE BAAZĪ NA MAIÑ NE HAARĪ THĪ

TAVĀF KARTE THE US KĀ BAHĀR KE MANZAR

JO DIL KĪ SEJ PE UTRĪ AJAB SAVĀRĪ THĪ

TUMHĀRĀ AANĀ BHĪ ACHCHHĀ NAHĪÑ LAGĀ MUJH KO

FASURDAGĪ SĪ AJAB AAJ DIL PE TAARĪ THĪ

KISĪ BHĪ ZULM PE KOĪ BHĪ KUCHH NA KAHTĀ THĀ

NA JAANE KAUN SĪ JAAÑ THĪ JO ITNĪ PYĀRĪ THĪ

HUJŪM BAḌHTĀ CHALĀ JAATĀ THĀ SAR-E-MAHFIL

BAḌE RASĀN SE QĀTIL KĪ MASHQ JAARĪ THĪ

TAMĀSHĀ DEKHNE VĀLOÑ KO KAUN BATLĀTĀ

KI IS KE BA.AD INHĪ MEÑ KISĪ KĪ BAARĪ THĪ

VO IS TARAH THĀ MIRE BĀZUOÑ KE HALQE MEÑ

NA DIL KO CHAIN THĀ 'AMJAD' NA BE-QARĀRĪ THĪ 


URDU VERSION 
جو دن تھا ایک مصیبت تو رات بھاری تھی
گزارنی تھی مگر زندگی، گزاری تھی
سواد شوق میں ایسے بھی کچھ مقام آئے
نہ مجھ کو اپنی خبر تھی نہ کچھ تمہاری تھی
لرزتے ہاتھوں سے دیوار لپٹی جاتی تھی
نہ پوچھ کس طرح تصویر وہ اتاری تھی
جو پیار ہم نے کیا تھا وہ کاروبار نہ تھا
نہ تم نے جیتی یہ بازی نہ میں نے ہاری تھی
طواف کرتے تھے اس کا بہار کے منظر
جو دل کی سیج پہ اتری عجب سواری تھی
تمہارا آنا بھی اچھا نہیں لگا مجھ کو
فسردگی سی عجب آج دل پہ طاری تھی
کسی بھی ظلم پہ کوئی بھی کچھ نہ کہتا تھا
نہ جانے کون سی جاں تھی جو اتنی پیاری تھی
ہجوم بڑھتا چلا جاتا تھا سر محفل
بڑے رسان سے قاتل کی مشق جاری تھی
تماشا دیکھنے والوں کو کون بتلاتا
کہ اس کے بعد انہی میں کسی کی باری تھی
وہ اس طرح تھا مرے بازوؤں کے حلقے میں
نہ دل کو چین تھا امجدؔ نہ بے قراری تھی


Poet :  Amjad Islam Amjad

Shared By
Admin

URDU SHAYARI

https://www.facebook.com/UrduShayaeri/

0 comments:

This Month Trending