Saturday 23 March 2019

Ab Kahan Aur Kisi Cheez Ki Ja Rakhi Hai


AB KAHĀÑ AUR KISĪ CHIIZ KĪ JĀ RAKKHĪ HAI

DIL MEÑ IK TERĪ TAMANNĀ JO BASĀ RAKKHĪ HAI

SAR-BA-KAF MAIÑ BHĪ HUUÑ SHAMSHĪR-BA-KAF HAI TŪ BHĪ

TŪ NE KIS DIN PE YE TAQRĪB UTHĀ RAKKHĪ HAI

DIL SULAGTĀ HAI TIRE SARD RAVAYYE SE MIRĀ

DEKH IS BARF NE KYĀ AAG LAGĀ RAKKHĪ HAI

AA.INA DEKH ZARĀ KYĀ MAIÑ ĠHALAT KAHTĀ HUUÑ

TŪ NE ḲHUD SE BHĪ KOĪ BAAT CHHUPĀ RAKKHĪ HAI

JAISE TŪ HUKM KARE DIL MIRĀ VAISE DHAḌKE

YE GHAḌĪ TERE ISHĀROÑ SE MILĀ RAKKHĪ HAI

MUTMA.IN MUJH SE NAHĪÑ HAI JO RA.Ī.YAT MERĪ

YE MIRĀ TAAJ RAKHĀ HAI YE QABĀ RAKKHĪ HAI

GAUHAR-E-ASHK SE ḲHĀLĪ NAHĪÑ ĀÑKHEÑ 'ANVAR'

YAHĪ PŪÑJĪ TO ZAMĀNE SE BACHĀ RAKKHĪ HAI 


URDU VERSION

اب کہاں اور کسی چیز کی جا رکھی ہے
دل میں اک تیری تمنا جو بسا رکھی ہے
سر بکف میں بھی ہوں شمشیر بکف ہے تو بھی
تو نے کس دن پہ یہ تقریب اٹھا رکھی ہے
دل سلگتا ہے ترے سرد رویے سے مرا
دیکھ اب برف نے کیا آگ لگا رکھی ہے
آئنہ دیکھ ذرا کیا میں غلط کہتا ہوں
تو نے خود سے بھی کوئی بات چھپا رکھی ہے
جیسے تو حکم کرے دل مرا ویسے دھڑکے
یہ گھڑی تیرے اشاروں سے ملا رکھی ہے
مطمئن مجھ سے نہیں ہے جو رعیت میری
یہ مرا تاج رکھا ہے یہ قبا رکھی ہے
گوہر اشک سے خالی نہیں آنکھیں انورؔ
یہی پونجی تو زمانے سے بچا رکھی ہے


Poet :  Anwar Masood

Shared By
Admin

URDU SHAYARI

https://www.facebook.com/UrduShayaeri/
 

0 comments:

This Month Trending