Friday 11 November 2016

Aik Lafz e Muhubbat Ka Adna Sa Fasana Hai Full Poetry

Aik Lafz e Muhubbat Ka Adna Sa Fasana Hai

Mukamal Ghazal

https://go.oclasrv.com/afu.php?zoneid=1547316 
ek lafz-e-mohabbat ka adna sa fasana hai
Simtay to Dil-e-Aashiq phelay to zamana hai

Yeh kis ka tasawwar hai yeh kis ka fasana hai
Jo ashk hai aankhon mei Tasbeeh ka danaa hai

Hum ishq ke maaron ka itna he fasana hai
Rone ko nahe koi hansne ko zamana hai

Woh aur Wafa-Dushman manenge na mana hai
Sab dil ki shararat hai aankhon ka bahana hai

Kia husn ne samjha hai kia ishq ne jana hai
Hum Khaak-Nasheenon ki thokar mei zamana hai


masoom si mohabbat ka bus itna sa fasana hai..
kagaj ki haveli hai, baarish ka zamaana hai..

kya shart-e-mohabbat hai, kya shart-e-zamana hai..
awaz bhi jakhmi hai aur wo geet bhi gana hai..

uss par utrne ki umeed bahut kam hai..
kashti bhi puraani hai, tufaan ne bhi aana hai..

samajhe ya na samjhe wo andaaz-e-mohabbat ka..
bheegi hui ankho se ek sher sunaana ha


Aansu to bahot se hain ankhon mein 'Jigar' lekin
bindh jaaye so moti hai rah jaaye so daana hai

Woh Husn-o-Jamal un ka yeh Ishq-o-Shabab apna
Jeene ki tamanna hai marnay ka zamana hai

Ya woh thay Khafa hum se ya hum thay Khafa un se
Kal un ka zamana tha aaj apna zamana hai


Aankhon mei nami si hai Chup-Chup se woh baithe hain
Nazuk si nigahon mei nazuk sa fasana hai

Hai Ishq-e-Junoo'n pesha haan Ishq-e-Junoo'n pesha
Aaj eik sitamagar ko hans hans k rulana hai

Yeh ishq nahe aasaa'n itna to samajh lijye
Ik aag ka dariya hai aur Doob k jana hai...... 

Poet : Jigar Moradabadi
 
                                                                 Shared By

Admin

P3INCE  H@MM@D

https://www.facebook.com/PrinceHammad122

0 comments:

This Month Trending