Friday, 11 November 2016

Ankhon Main Raha Dil Main Utar Kar Nahi Dekha Full Poetry

Ankhon Main Raha Dil Main Utar Kar Nahi Dekha

Mukamal Ghazal

https://go.oclasrv.com/afu.php?zoneid=1547316

Aankhon mein raha dil mein utar kar nahin dekha, kashti ke musaafir ne samandar nahin dekha.

 

Bewaqt agar jaaunga sab chonk padenge, ek umar hui din mein kabhi ghar nahin dekha


Jis din se chala hun meri manzil pe nazar hai, aankon ne kabhi meel ka patthar nahin dekha.

 

Ye phool mujhe koi wiraasat mein mile hain,

tum ne mera kaanton bhara bistar nahin dekha


yaron ki mohabbat ka yaqeen kar liya mainay 

Pholon main chupa huwa khanjar nahi dekha

 

 Mehboob ka Ghar ho ke buzrgon ki zameenain 

Jo Chor Diya phir usay Mur kar Nahi Dekha 


Khat aysa Likha hai ke Nagenay se Jaray Hain 

Lekin hathon ne kabhi koi Zewar Nahi Dekha 


Pathar Mujhe Kehta hai Mera Cahnay Wala 

Main Moum hn Is ne Mujeh Cho kar nahi Dekha


Wo mere Masail Ko Smjh Hi Nahi Saka

Jis ne Meri Ankhon Main Samandar Nahi Dekha 

 

Shared By
Admin

P3INCE  H@MM@D

 

https://www.facebook.com/PrinceHammad122

0 comments:

This Month Trending