Sochta hoon ke usay neend bhi ati hogi,
Ya meri tarah faqat ashq bahaati hogi,
Woh meri shakal mera naam bhulaane wali,
Apni tasveer se kya aankh milaati hogi,
Iss zameen pr bhi hai sailaab mere ashkon se,
Mere maatam ki sadaa arshh hilaati hogi,
Shaam hote hi woh chokhat pr jalaa kar shamen,
Apni palkon pe kayi khawb sulaati hogi,
Us ne silvaa bhi liye hon ge siyaah rang ke libaas,
Ab moharram ki tarah eid manaati hogi,
Mere tareek zamaano se nikalne wali,
Roshni tujh ko meri yaad dilaati hogi,
Dil ki masoom ragen khud hi sulagti hon gi,
Jun hi tasveer ka kona woh jalati hogi,
Roop de kar mujhe us me kisi shehzaade ka,
Apne bachon ko kahani woh sunaati hogi..
Poet : Wasi Shah
Shared By
Admin
URDU SHAYARI