Wednesday 4 January 2017

Tumhare Seher Ka Mosam Bara Suhana Lagay

Tumhare Seher Ka Mosam Bara Suhana Lagay

https://go.oclasrv.com/afu.php?zoneid=1547316

tumhāre shahr kā mausam baḌā suhānā lage
maiñ ek shaam churā luuñ agar burā na lage

tumhāre bas meñ agar ho to bhuul jaao mujhe
tumheñ bhulāne meñ shāyad mujhe zamāna lage

hamaray Pyar se Jalnay Lagi hai Ek Dunya
Dua Karo Kisi Dushman Ki Bad Dua  Na Lagay

jo Dūbnā hai to itne sukūn se Duubo
ki ās-pās kī lahroñ ko bhī patā na lage

vo phuul jo mire dāman se ho ga.e mansūb
ḳhudā kare unheñ bāzār kī havā na lage

na jaane kyā hai kisī kī udaas āñkhoñ meñ
vo muñh chhupā ke bhī jaa.e to bevafā na lage

tū is tarah se mire saath bevafā.ī kar
ki tere ba.ad mujhe koī bevafā na lage

tum aañkh muuñd ke pī jaao zindagī 'qaisar'
ki ek ghūñT meñ mumkin hai bad-maza na lage

  ----------------------------------

 

Tumhare sheher ka mausam barra suhaana lage,
Main ik shaam chura loon agar bura na lage,
Tumhare bas main agar ho to bhool jao humen,
Tumhen bhulaane main shayed mujhe zamaana lage,
Hamare pyar se jalne lagi hai ik duniya,
Dua karo kisi dushman ki baduaa na lage,
Na jane kya hai us ki be-baak ankhon main,
Woh mu chupaa ke jaye bhi to bewafa na lage,
Jo doobna hai to itne sakoon se doobo,
Ke aas paas ki lehron ko bhi pata na lage,
Ho jis ada se mere sath bewafayi kar,
Ke tere baad mujhe koi bewafa na lage,
Woh phool jo mere daaman se ho geya mansoob, Khuda kare usay bazaar ki hawa na lage,
Tum aankh muund ke pe jao zindagi qaiser,
Ke aik ghoont main shaayed yeh bd-maza na lage..

تمہارے شہر کا موسم بڑا سہانا لگے

تمہارے شہر کا موسم بڑا سہانا لگے
میں ایک شام چرا لوں اگر برا نہ لگے


تمہارے بس میں اگر ہو تو بھول جاؤ ہمیں
تمہیں بھلانے میں شاید ہمہیں زمانہ لگے


ہمارے پیار سے جلنے لگی ہے ایک دنیا
دعا کرو کسی دشمن کی بددعا نہ لگے


نہ جانے کیا ہے اس کی بیباک آنکھوں میں
وہ منہ چھپا کے بھی جائے تو بےوفا نہ لگے


جو ڈوبنا ہے تو اتنے سکون سے ڈوبو
کہ آس پاس کی لہروں کو بھی پتا نہ لگے


کچھ اس ادا سے میرے ساتھ بےوفائی کر
کہ تیرے بعد مجھے کوئی بےوفا نہ لگے


تم آنکھ موند کے پی جاؤ زندگی
کہ ایک گھونٹ میں شاید یہ بدمزا نہ لگے


------------

Poet : Nazeer Qaiser

Shared By
Admin

P3INCE  H@MM@D

https://www.facebook.com/PrinceHammad122

 

0 comments:

This Month Trending