Saturday, 30 March 2019

Bimar Hain To Ab Dam-E-Isa Kahan Se Aye

Bimar Hain To Ab Dam-E-Isa Kahan Se Aye
Us Dil Main Dard-E-Shauq-O-Tamanna Kahan Se Aye

Bekar Shara-E-Lafz-O-Mani Se Fayeda
Jab Tu Nahin To Shahar Main Tujh Sa Kahan Se Aye

Har Chashm Sang-E-Khizb-O-Adawat Se Surkh Hai
Ab Admi Ko Zindagi Karna Kahan Se Aye

Wahshat Hawas Ki Chat Gai Khak-E-Jism Ko
Be-Dar Gharon Main Shaql Ka Saya Kahan Se Aye

Jar Se Ukhar Gaye To Badalati Ruton Se Kya
Be-Ab Ainon Main Sarapa Kahan Se Aye

Sayon Pe Aitamad Se Ukta Gaya Hai Ji
Tufan Main Zindagi Ka Bharosa Kahan Se Aye

Gam K Thapere Le Gaye Nagin Se Lambe Bal
Raton Main Jangalon Ka Wo Saya Kahan Se Aye

'Naheed' Faishanon Ne Chupaye Hain Aib Bhi
Chashmain Na Hon To Ankh Ka Parda Kahan Se Aye


Poet : Kishwar Naheed

Shared By
Admin

URDU SHAYARI

https://www.facebook.com/UrduShayaeri/

Agar Yon Hi Ye Dil Satata Rahega

agar yon hi ye dil satata rahega
to ik din mera ji hi jata rahega

main jata hun dil ko tere pas chore
meri yad tujhko dilata rahega

gali se teri dil ko le to chala hun
main pahunchunga jab tak ye ata rahega

qafas main koi tum se ai ham-safiron
khabar kal ki hamko sunata rahega

khafa ho k ai ?Dard? mar to chala tu
kahan tak gam apna chupata rahega

Poet : Khwaja Mir Dard

Shared By
Admin

URDU SHAYARI

https://www.facebook.com/UrduShayaeri/

Pind Ke Bohar Thale Ham Ishq Laraya karte Thay

Pind Ke Bohar Thale Ham Ishq Laraya karte Thay
Wo Panday Dhone Aati Thi Ham Maj Nhwya Karte Thay
Wo Har Kam Main Agay Thi Ham Har Kaam Main Phari Thay
Wo Sabaq Mqa Ke Bai Jati Ham Pencil Garhia Karte Thay
Jdon Meri Bay Bay Us Ke Ghar Rishta Lain Gyi
Wo College Jaya Karti Thi Ham Daras Main Parhya Karte Thay
Garmiyon Main Sukar Dhupare jadon Ham Amb Par Charia Karte Thay
Munh Suj Prola Hota Tha Jab Demon Larya Karte Thay
Pind Ke Sar Kande Tlay Jab Wo Muj Se Milne Aati Thi
Sheda, Gama, Fazlo, Teefa Muft Main Sarya Karte Thay


Poet :  Khalid Masood Khan

Shared By
Admin

URDU SHAYARI

https://www.facebook.com/UrduShayaeri/


Ki Hai Koi Haseen Khata Har Khata Ke Sath

 Ki hai koi haseen khata har khata ke saath,
thoda sa pyaar bhi mujhe de do saza ke saath.

Gar doobna hi apna muqaddar hai toh suno,
doobenge hum zaroor magar na-khuda ke saath.

Lau de uthe hawa ko bhi daaman toh kya ghazab,
yun hi chiraagh uljhate rahe gar hawa ke saath.

Manzil se woh bhi door tha aur hum bhi door the,
hum ne bhi dhool udaayi bahut rahnuma ke saath.

Raqs-e-saba ke jashn mein hum tum bhi naachte,
aye kaash tum bhi aa gaye hote saba ke saath.

Ikkiswin sadi ki taraf hum chale toh hain,
fitne bhi jaag uthe hain aawaz-e-paa ke saath.

Aisa laga ghareebi ki rekha se hun buland,
poochha kisi ne haal kuchh aisi adaa ke saath.

 URDU VERSION

کی ہے کوئی حسین خطا ہر خطا کے ساتھ
تھوڑا سا پیار بھی مجھے دے دو سزا کے ساتھ
گر ڈوبنا ہی اپنا مقدر ہے تو سنو
ڈوبیں گے ہم ضرور مگر ناخدا کے ساتھ
منزل سے وہ بھی دور تھا اور ہم بھی دور تھے
ہم نے بھی دھول اڑائی بہت رہ نما کے ساتھ
رقص صبا کے جشن میں ہم تم بھی ناچتے
اے کاش تم بھی آ گئے ہوتے صبا کے ساتھ
اکیسویں صدی کی طرف ہم چلے تو ہیں
فتنے بھی جاگ اٹھے ہیں آواز پا کے ساتھ
ایسا لگا غریبی کی ریکھا سے ہوں بلند
پوچھا کسی نے حال کچھ ایسی ادا کے ساتھ


Poet :      Kaifi Azmi

Shared By
Admin

URDU SHAYARI

https://www.facebook.com/UrduShayaeri/

Aap Apna Ghubar Thay Hum Tu

Aap Apna Ghubar Thay Hum tu 
Yaad Thay Yadgar Thay Hum tu
Hum Ko Yarron Ne Yad Bhi Na Rakha
Jun Yaroon ke Yaar Thay Hum tu 

Poet :     Jon Elia

Shared By
Admin

URDU SHAYARI

https://www.facebook.com/UrduShayaeri/

Yeh Shehr Zaat Bohat Hai Agar Banaya Jaye

 Yeh shehr Zaat Bohat Hai Agar Banaya Jaye
Tu Kainat ko Kyun Dard e Sir Banaya Jaye
Zara Si Dair ko ruk kar kisi jazeeray par
Samandaroon ka safar mukhtasar banaya jaye
ab aik khaima lagay dushmano ki basti main 
dua e shab ko nishan e sehar banaya jaye 
yahi katay huway bazo ilm kiye jaen 
yehi phata huwa seena sipar banya jaye 
suna hai wo dariya utar gaya akhir 
tu ao phir isi rait par ghar banaya jaye
ajab masaf sukoot o sukhan main jari hai 
kisay waseela Arz Hunar Bnaya jaye


URDU VERSION 

یہ شہر ذات بہت ہے اگر بنایا جائے
تو کائنات کو کیوں درد سر بنایا جائے
ذرا سی دیر کو رک کر کسی جزیرے پر
سمندروں کا سفر مختصر بنایا جائے
اب ایک خیمہ لگے دشمنوں کی بستی میں
دعائے شب کو نشان سحر بنایا جائے
یہی کٹے ہوئے بازو علم کیے جائیں
یہی پھٹا ہوا سینہ سپر بنایا جائے
سنا یہ ہے کہ وہ دریا اتر گیا آخر
تو آؤ پھر اسی ریتی پہ گھر بنایا جائے
عجب مصاف سکوت و سخن میں جاری ہے
کسے وسیلۂ عرض ہنر بنایا جائے

Poet :     Irfan Siddiqui

Shared By
Admin

URDU SHAYARI

https://www.facebook.com/UrduShayaeri/

Khuwab Ki Tarah Bikhar Jane Ko Ji Chahta Hai




khwab ki tarah bikhar jane ko ji chahta hai
aisi tanhai k mar jane ko ji chahta hai

ghar ki wehshat se larzta hun magar jane kyon
sham hoti hai to ghar jane ko ji chahta hai

dub jaun to koi mauj nishan tak na bataye
aisi nadi mein utar jane ko ji chahta hai

kabhi mil jaye to raste ki thakan jag pare
aisi manzil se guzar jane ko ji chahta hai

wahi paiman jo kabhi ji ko khush aya tha bahut
usi paiman se mukar jane ko ji chahta hai

Poet :    Iftikhar Arif

Shared By
Admin

URDU SHAYARI

https://www.facebook.com/UrduShayaeri/

Tuesday, 26 March 2019

Aap Meri Tabiyat Se Waqif Nahi

AAP MERĪ TABĪ.AT SE VĀQIF NAHĪÑ MUJH KO BE-JĀ TAKALLUF KĪ AADAT NAHĪÑ

MUJH KO PURSISH KĪ PAHLE BHĪ ḲHVĀHISH NA THĪ AUR PURSISH KĪ AB BHĪ ZARŪRAT NAHĪÑ

YUUÑ SAR-E-RĀH BHĪ PURSISH-E-HĀL KĪ IS ZAMĀNE MEÑ FURSAT KISĪ KO KAHĀÑ

AAP SE YE MULĀQĀT RASMĪ SAHĪ ITNĪ ZAHMAT BHĪ KUCHH KAM INĀYAT NAHĪÑ

AAP IS DARJA AFSURDA-ḲHĀTIR HOÑ AAP KOĪ ASAR APNE DIL PAR NA LEÑ

MAIÑ NE JO KUCHH KAHĀ IK FASĀNA KAHĀ AUR FASĀNE KĪ KOĪ HAQĪQAT NAHĪÑ

AISĪ MAHFIL MEÑ SHIRKAT SE KYĀ FĀ.EDA AISE LOGOÑ SE KOĪ TAVAQQO.A BHĪ KYĀ

JO KAHĀ JAA.E ḲHĀMOSH SUNTE RAHO LAB-KUSHĀ.Ī KĪ QAT.AN IJĀZAT NAHĪÑ

NUKTA-CHĪNĪ TO FITRAT HAI INSĀN KĪ KIS KĀ SHIKVA KAREÑ KIS KO ILZĀM DEÑ

ḲHUD HAMĪÑ KAUN SE PĀRSĀOÑ MEÑ HAIÑ HAM KO DUNIYĀ SE KOĪ SHIKĀYAT NAHĪÑ

MUJH KO MA.ALŪM HAI AAP MAJBŪR HAIÑ AAP MERE LIYE MUFT RUSVĀ NA HOÑ

AISE HĀLĀT MEÑ BE-RUḲHĪ THIIK HAI MUJH KO IS BAAT PAR KOĪ HAIRAT NAHĪÑ

KUCHH YE 'IQBĀL' HĪ PAR NAHĪÑ MUNHASIR SARGIRĀNĪ MUSALLAT HAI MĀHAUL PAR

AQL-O-DĀNISH KE BAḌHTE HUE BOJH SE SAR UTHĀNE KĪ DUNIYĀ KO FURSAT NAHĪÑ



Poet :    Iqbal Azeem

Shared By
Admin

URDU SHAYARI

https://www.facebook.com/UrduShayaeri/
 

Farz karo hum ehl-e-wafaa hon

Farz karo hum ehl-e-wafaa hon, farz karo deewane hon,
Farz karo yeh donon baten jhooti hon, afsane hon,

Farz karo yeh jee ki bipta jee se jorr sunayi ho,
Farz karo abhi aur ho itni aadhi hum ne chupaayi ho,

Farz karo tumhen khush karne ke dhoonde hum ne bahane hon,
Farz kar yeh nain tumhare sachh-much ke mai-khane hon,

Farz karo yeh rog ho jhoota, jhooti peet hamari ho,
Farz karo is peet ke rog main saans bhi hum par bhari ho,

Farz karo yeh jog ba-jog ka hum ne dhong rachaya ho,
Farz karo bas yehi haqeeqat, baqi sab kuch maya ho,

Dekh meri jaan keh gaye baahu kaun dilon ki jaane huu,
Basti basti sehraa sehraa lakhon karen deewane huu,

Jogi bhi jo nagar nagar main maare maare phirte hain,
Kaasa liye bhabuut ramaye sab ke dvare phirte hain,

Shayar bhi jo meethi baani bol ke mann ko harte hain,
Banjare jo unche damon jee ke saude karte hain,

In main sache moti bhi hain, in main kankar pathar bhi,
In main uthle paani bhi hain, in main gehre saagar bhi,

Gori dekh ke aage barrhna sab ka jhoota sacha huu,
Doobne wali doob gayi woh gharra tha jis kacha huu..


Poet :    Ibn e insha

Shared By
Admin

URDU SHAYARI

https://www.facebook.com/UrduShayaeri/

Kabhi Kitabon Mein Phool Rakhna

kabhi kitabon mein phul rakhna
kabhi darakhton pe nam likhna
hamein bhi hai yad aj tak wo
nazar se harf-e-salam likhna

wo chand chehre wo behki baten
sulagte din the mehakti raten
wo chote-chote se kagzon par
muhabbaton k payam likhna

gulab chehron se dil lagana
wo chupke chupke nazar milana
wo arzuon k khwab bunna
wo qissa-e-natamam likhna

mere nagar ki hasin fizao
kahin jo un k nishan pao
to puchna ye kahan base ho
kahan hain un ka qayam likhna

gai ruton mein Hassan hamara
bas ek hi to ye mashgala tha
kisi k chehre ko subah kahna
kisi ki zulfon ko sham likhna


Poet :    Hassan Rizvi

Shared By
Admin

URDU SHAYARI

https://www.facebook.com/UrduShayaeri/

Monday, 25 March 2019

Aik Be Naam Sa Dar Seenay Main Aa Betha Hai

EK BE-NĀM SĀ DAR SIINE MEÑ AA BAITHĀ HAI

JAISE IK BHEḌIYĀ HAR DAR SE LAGĀ BAITHĀ HAI

EK DHAḌKĀ SĀ LAGĀ RAHTĀ HAI LUT JAANE KĀ

GOYĀ PAHRE PE KOĪ ḲHVĀJA-SARĀ BAITHĀ HAI

HURMATEÑ SAN.AT-E-ĀHAN KĪ TARAH BIKTĪ HAIÑ

JIS KO DEKHO VO ḲHARĪDĀR BANĀ BAITHĀ HAI

AUR KYĀ RAB SE VO MĀÑGEÑGE FAZĪLAT JIN KE

ZEHN KORE HAIÑ MAGAR SAR PE HUMĀ BAITHĀ HAI

AB 'HASAN' MILTĀ HAI BĀZĀR-E-ZIYĀÑ MEÑ AKSAR

AISĀ LAGTĀ HAI KOĪ ḲHVĀB GAÑVĀ BAITHĀ HAI 


Poet :    Hassan Abbas Raza

Shared By
Admin

URDU SHAYARI

https://www.facebook.com/UrduShayaeri/

Pak sar zamin shad bad


Pak sar zamin shad bad
Kishwar-e-hasin shad bad
Tu nishan e azm e alishan
Arz-e-Pakistan!
Markaz-e-yaqin shad bad


Pak sar zamin ka nizam
Quwat e ukhuwat e awam
Qaum, mulk, sultanat
Pa-inda tabinda bad!
Shad bad manzil e murad


Parcham e sitara o hilal
Rahbar e tarraqqi o kamal
Tarjuman e mazi, shan e hal
Jan e istiqbal!
Sayah e Khuda e Zal Jalal

 

 

Poet :    Hafeez Jalandhari

Shared By
Admin

URDU SHAYARI

https://www.facebook.com/UrduShayaeri/

Hum hi main thi na koi baat

Hum hi main thi na koi baat yaad na tum ko aa sake,
Tum ne humen bhulaa diya hum na tumhe bhulaa sake,

Tum hi na sun sake agar qissa -e- gham sunay ga kon,
Kis ki zabaan khule gi phir hum na agar sunaa sake,

Hosh main aa chuke thay hum josh main aa chuke thay hum,
Bazm ka rang dekh kar sar na magar uthaa sake,

Ronaq-e-bazm ban gaye lab pe hikayaten rahin,
Dil main shikayaten rahin lab na magar hilaa sake,

Shauq-e-visaal hai yahan lab pe sawal hai yahan,
Kisi ki majaal hai yahan hum se nazar mil sake,

Aesa ho koi nama-e-bar baat pe kaan dhar sake,
Sun ke yaqeen kar sake ja ke unhe sunaa sake,

Ajazz se aur barrh gayi barhami mizaj-e-dost,
Ab woh kare ilaaj dost jis ki samajh main aa sake,

Ehl-e-zabaan to hain bohat koi nahin hai ehl-e-dil,
Kon teri tarah hafeez dard ke geet gaa sake..

Poet :    Hafeez Jalandhari

Shared By
Admin

URDU SHAYARI

https://www.facebook.com/UrduShayaeri/

Mohabbat karne wale kam na hon ge


Mohabbat karne wale kam na hon ge,
Teri mehfil main lekin hum na hon ge,

Zamane bhar ke gham ya ik tera gham,
Yeh gham na ho ga to kitne gham na hon ge,

Agar tu itifaaqan mil bhi jaaye,
Teri furqat ke sadme kamm na hon ge,

Dilon ki uljhanen barrhti rahen gi,
Agar kuch mashwre baaham na hon ge,

Hafeez un se main jitna bdgumaan hoon,
Woh mujh se is qadar barhamm na hon ge..



Poet :    Hafeez Hoshiarpuri

Shared By
Admin

URDU SHAYARI

https://www.facebook.com/UrduShayaeri/

Ankhon Main Jo baat Ho Gayi Hai

Ankhon main jo baat ho gayi hai,
Ik sharh-e-hayat ho gayi hai,

Jab dil ki vafat ho gayi hai,
Har cheez ki raat ho gayi hai,

Gham se chhoot kar yeh gham hai mujh ko,
Kyun gham se najaat ho gayi hai,

Muddat se khabar mili na dil ki,
Shayad koi baat ho gayi hai,

Jis shai pe nazar parri hai teri,
Tasveer-e-hayat ho gayi hai,

Ab ho mujhe dekhiye kahan subh,
Un zulfon main raat ho gayi hai,

Dil main tujh se thi shikayet,
Ab gham ke nikaat ho gayi hai,

Jo cheez bhi mujh ko hath ayi,
Teri saughaat ho gayi hai,

Kya janiye maut pehle kya thi,
Ab meri hayaat ho gayi hai,

GhaTte GhaTte teri inayat,
Meri auqaat ho gayi hai,

Us chashm-e-siyah ki yaad yaksar,
Sham-e-zulmat ho gayi hai,

Ikka-dukka sadaa-e-zanjeer,
Zindan main raat ho gayi hai,

Ek ek sifat firaq us ki,
Dekha hai to zaat ho gayi hai..



Poet :    Firaq Gorakhpuri

Shared By
Admin

URDU SHAYARI

https://www.facebook.com/UrduShayaeri/

Maston Ke Jo Usool Hain Un K Nibha Ke Pi

MASTOÑ KE JO USUUL HAIÑ UN KO NIBHĀ KE PĪ

IK BUUÑD BHĪ NA KAL KE LIYE TŪ BACHĀ KE PĪ

KYUUÑ KAR RAHĀ HAI KAALĪ GHATĀOÑ KE INTIZĀR

UN KĪ SIYĀH-ZULF PE NAZREÑ JAMĀ KE PĪ

CHORĪ ḲHUDĀ SE JAB NAHĪÑ BANDOÑ SE KIS LIYE

CHHUPNE MEÑ KUCHH MAZĀ NAHĪÑ SAB KO DIKHĀ KE PĪ

'FAYYĀZ' TŪ NAYĀ HAI NA PĪ BAAT MAAN LE

KAḌVĪ BAHUT SHARĀB HAI PAANĪ MILĀ KE PĪ 


Poet :    Faiyaz Hashmi

Shared By
Admin

URDU SHAYARI

https://www.facebook.com/UrduShayaeri/

Zindagi khawab-e-pareshaan se zeyada to nahin


Zindagi khawab-e-pareshaan se zeyada to nahin,
Is main tabeer bhi mil jaye yeh waada to nahin,

Baat be’baat ulajhney ki yeh huu kesi hai,
Yeh bataa tera bicharrney ka iraada to nahin,

Kon khushbuu ke peechey geya door talak,
Log saada hain magar itney bhi saada to nahin,

Kis khushi se mujhe bheja hai bata surkh gulaab,
Zulm ka yeh teri jaanib se iraada to nahin,

Bewafa hum hi sahi, khud pe bhi kuch ghaur karo,
Be’rukhi aap ki bhi hadh se zeyadaa to nahin..

Poet :    Fakhira Batool

Shared By
Admin

URDU SHAYARI

https://www.facebook.com/UrduShayaeri/

Sunday, 24 March 2019

Lakh Doori ho Magar Ehad Nibhate Rehna

Lakh doori ho magar ehad nibhate rehna,
Jab bhi barish ho mera saug manate rehna,

Tum gaye ho to sar-e-sham yeh adat thehri,
Bas kinare pe kharre hath hilate rehna,

Jane is dil ko yeh adab kahan se aye,
Us ki rahon main nigahon ko bichate rehna,

Aik muddat se yeh mamool hua hai ab to,
Ap hi roothna aur ap manate rehna,

Tum ko maloom hai farhat ke yeh pagalpan hai,
Door jate huye logon ko bulate rehna..


Poet :    Farhat Abbas Shah

Shared By
Admin

URDU SHAYARI

https://www.facebook.com/UrduShayaeri/

kabhi mujh ko sath lekar kabhi mere sath chal kar

kabhi mujh ko sath lekar, kabhi mere sath chal kar
vo badal gaye achanak meri zindagi badal kar

huye jis pe meharaban tum koi khushnasib hoga
meri hasraten to nikalin mere ansuon main dhal kar

teri zulf-o-ruKh k qurban dil-e-zar dhundta hai
vahi champai ujale vahi surmai dhund main pal kar

koi phul ban gaya hai koi chand koi tara
jo chirag bujh gaye hain teri anjuman main jal kar

mere dosto Khudara mere sath tum bhi dhundo
vo yahin kahin chupe hain mere gam ka rukh badal kar

teri bejhijhak hansi se na kisi ka dil ho maila
ye nagar hai ainon ka yahan sans le sambhal kar


Poet :    Ehsan Danish

Shared By
Admin

URDU SHAYARI

https://www.facebook.com/UrduShayaeri/

Saaqiya Tishnagi Ki Taab Nahin

Saaqiya tishnagi ki taab nahin,
Zeher de de agar sharaab nahin..

Poet :    Dagh Dehlvi

Shared By
Admin

URDU SHAYARI

https://www.facebook.com/UrduShayaeri/

Is Nahin Ka Koi ilaaj Nahin

Is nahin ka koi ilaaj nahin,
Roz kehte hain aap aaj nahin..


Poet :    Dagh Dehlvi

Shared By
Admin

URDU SHAYARI

https://www.facebook.com/UrduShayaeri/

Sarfaroshi ki tamana ab hamare dil main hai

sarfaroshi ki tamana ab hamare dil main hai
dekhna hai zor kitna bazu-e-qatil main hai

karta nahi kyon dusara kuch bat-chit
dekhata hun main jise vo chup teri mahfil main hai

ai shahid-e-mulk-o-millat main tere upar nisar
ab teri himat ka charcha gair ki mahfil main hai

vaqt ane de bata denge tujhe ai asman
ham abhi se kya batayen kya hamare dil main hai

khinch kar lai hain sab ko qatl hone ki ummid
ashiqon ka aj jamghat kucha-e-qatil main hai


Poet :    Bismil Allahabadi

Shared By
Admin

URDU SHAYARI

https://www.facebook.com/UrduShayaeri/

Lagta nahii hai dil mera ujrre dayaar mein

Lagta nahii hai dil mera ujrre dayaar mein,
Kis ki bannii hai aalam e na-paayedaar mein,

Keh do in hasraton se kahin aur ja basen,
Itni jagah kahan hai dil-e-daaghdaar main,

Umr-e-daraaz maang ke laaye the chaar din,
Do aarzuu mei katt gaye do intizaar main,

Kaanton ko mat nikaal chaman se o baaghbaan,
Yeh bhi gulon ke saath pale hain bahaar main,

Bulbul se koi shikwa na sayaad se gila,
Qismat mein qaid likhi thi fasl-e-bahaar main,

Kitna hai bdnaseeb “zafar” dafn ke liye,
Do gaz zameen bhi na mili kuu-e-yaar main..



Poet :    Bahadur Shah Zafar

Shared By
Admin

URDU SHAYARI

https://www.facebook.com/UrduShayaeri/

Baat karni mujhe mushkil kabhi aesi to na thi

Baat karni mujhe mushkil kabhi aesi to na thi,
Jaisi ab hai teri mehfil kabhi aisi to na thi,

Le geya chheen ke kaun aaj tera sabr-o-qaraar,
Beqaraari tujhe ae dil kabhi aesi to na thi,

Uss ki ankhon ne khuda jaane kiya kya jaadu,
Ke tabiyat meri maayel kabhi aisi to na thi,

Akss-e-rukhsaar ne kis ke hai tujhe chamkaaya,
Taab tujh main mah-e-kamil kabhi aesi to na thi,

Ab ke jo raah-e-mohabbat main uthaayi takleef,
Sakht hoti humen manzil kabhi aisi to na thi,

Nigaah-e-yaar ko ab kyun hai taghaaful ae dil,
Woh tere haal se ghaafil kabhi aisi to na thi,

Chashm-e-qatil meri dushman thi hamesha lekin,
Jaisi ab ho gayi qaatil kabhi aesi to na thi,

Kya sabbab tu jo bigarrta hai “zafar” se har baar,
Khuu teri huur-shamaayel kabhi aesi to na thi..

Poet :    Bahadur Shah Zafar

Shared By
Admin

URDU SHAYARI

https://www.facebook.com/UrduShayaeri/

Dekh lete ho mohabbat se yehi kaafi hai


Dekh lete ho mohabbat se yehi kaafi hai,

Dil dharakta hai sahulat se, yehi kaafi hai,


Haal dunya ke sataye huye kuch logon ka,

Puch lete ho shararat se, yehi kaafi hai,


Jo bhi raste mein guzarta hai mere pehlu se,

Dekhta hai teri nisbat se, yehi kaafi hai,


Muddat‘ton se nahin dekha tera jalwa lekin,

Yaad ajate ho shidat se, yehi kaafi hai,


Saari dunya se ulajhte hain lekin tera kahaa,

Maan jate hain sharafat se, yehi kaafi hai,


Kya hua hum jo muyassar jo zar-o-maal nahin,

Katt rahi hai bari izat se, yehi kaafi hai,


Aaj ke ehd taghaful mein kisi dar pe Munir,

Koi ajaye zarurat se, yehi kaafi hai..

 

Poet :   Badar Munir

Shared By
Admin

URDU SHAYARI

https://www.facebook.com/UrduShayaeri/

 

 

This Month Trending