Kabhi Kisi Ko Muaqamal Jahan Nahi Milta
Kabhi kisi ko mukammal jahaan nahi milta
Kabhi kisi ko mukammal jahaan nahi milta
Kahin zami to kahin aasmaa nahi milta
Kabhi kisi ko mukammal jahaan nahi milta
Jise bhi dekhiye wo apne aap mein gum hai
jise bhi dekhiye wo apne aap mein gum hai
Zubaa mili hai magar hum zubaa nahi milta
Zubaa mili hai magar hum zubaa nahi milta
Kabhi kisi ko mukammal jahaan nahi milta
Bujhaa saka hai bhala kaun waqt ke shole
Bujhaa saka hai bhala kaun waqt ke shole
Ye aisi aag hai jisme dhunaa nahi milta
Ye aisi aag hai jisme dhunaa nahi milta
Kabhi kisi ko mukammal jahaan nahi milta
Tere jahaaN mein aisa nahi ke pyaar na ho
Jahaa ummeed ho iski vahaaN nahi milta
Jahaa ummeed ho iski vahaaN nahi milta
Kabhi kisi ko mukammal jahaan nahi milta
Kahin zami to kahin aasmaa nahi milta
Anohter Version or Original Version
Kabhi kisi ko mukammal jahaan nahin milta,
kahin zameen toh kahin aasmaan nahin milta.
Tamaam shehar mein aisa nahin khuloos na ho, jahan umeed ho iss ki wahan nahin milta.
Kahan charaagh jalaayen kahan gulaab rakhen, chhaten toh milti hain lekin makaan nahin milta.
Ye kya azaab hai sab apne aap mein gum hain, zubaan mili hai magar hum-zubaan nahin milta.
Charaagh jalte hain beenaai bujhne lagti hai, khud apne ghar mein hi ghar ka nishaan nahin milta. !!
Shared By
Admin
P3INCE H@MM@D