Monday 12 March 2018

Majnoo Ne Shehar Chora Tu Sehra Bhi Chor De

Majnoo Ne Shehar Chora Tu Sehra Bhi Chor De

https://go.oclasrv.com/afu.php?zoneid=1547316

Majnoo Ne Shehar Chora Tu Sehra Bhi Chor De,
Nazare Ki Hawas Ho To Laila Bhi Chor De,

Waiz ! Kamal-e-Tarak Se Milti Hai Yaan Murad,
Duniya Jo Chor Di To Uqba Bhi Chor De,

Taqleed Ki Rosh Se To Behtar Hai Khud Kushi,
Rasta Bhi Dhoond,Khizar Ka Soda Bhi Chor De,

Manind Khama Teri Zubaan Par Hai Harf-e-Ghair,
Begana Shey pe Nazish Be Ja Bhi Chor De,

Lutf-e-Kalam Kya Jo Na Ho Dil Main Dard-e-Ishq,
Bismil Nahi Hai Tu,Tu Tarapna Bhi Chor De,

Shabnam Ki Tarah Phoolon Par Ro,Aur Chaman Se Chal,
Iss Baagh Main Qayam ka Soda Bhi Chor De,

Hai Aashqi Main Rasam Alag Sab Se Bethna,
Butt Khana Bhi,Haram Bhi,Kaleesa Bhi Chor De,

Soda Gari Nahi,Yeh Ibadat Khuda Ki Hai,
Aye Be Khabar Jaza Ki Tamana Bhi Chor De,

Acha Hai Dil K Sath Rahe Paasban-e-Aqal,
Lekin Kabhi Kabhi Isse Tanha Bhi Chor De,

Jeena Woh Kya Jo Ho Nafas-e-Ghair Par Madar,
Shuhrat Ki Zindagi Ka Bharosa Bhi Chor De,

Shokhi Si Hai Sawal-e-Mukarar Main Aye Kaleem,
Shart-e-Raza yeh Hai K Taqaza Bhi Chor De,

Waiz Saboot Laye jo May K Jawaz Main,
Iqbal Ko Yeh Zid Hai K Peena Bhi Chor De,....!

 Poet : Dr Allama Iqbal

Shared By
Admin

P3INCE  H@MM@D

https://www.facebook.com/PrinceHammad122

 

0 comments:

This Month Trending