Tuesday 20 March 2018

Ishq hai to ishq ka izhaar hona chahiye

Ishq hai to ishq ka izhaar hona chahiye

 https://go.oclasrv.com/afu.php?zoneid=1547316

Aap ko chehre se bhi beemaar hona chahiye,
Ishq hai to ishq ka izhaar hona chahiye,


Aap dariyaa hain to phir iss waqt khatre me hain,
Aap kashtii hain to hum ko paar hona chahiye,


Aire-ghaire log bhi parrhne lage hain in donon,
Aap ko aurat nahin akhbaar hona chahiye,


Zindagi to kab talak dar dar phiraayegi humen,
Toota phhoota hi sahi ghar baar hona chahiye,


Apni yaadon se kaho ik din ki chhutti de mujhe,
Ishq ke hisse me bhi itvaar hona chahiye.. 

Poet :  Munawwar Rana

Shared By
Admin

P3INCE  H@MM@D

https://www.facebook.com/PrinceHammad122

Wednesday 14 March 2018

Is Qadar Musalsal Thin Shidaten Judai Ki

Is Qadar Musalsal Thin Shidaten Judai Ki

 https://go.oclasrv.com/afu.php?zoneid=1547316

Is qadar musalsal thin shidaten judai ki
Aaj pehli bar uss se main ne bewafai ki

Wrna ab talak yun tha khuwishon ki barish mein
Ya to tut kar roya ya ghazal sarai ki

chor diya tha kal jin ko hum ne teri chahat mein
Aaj un se majburan taza shanasai ki

Ho chala tha jab mujh ko ikhtilaf apne se
Tune kis ghari zalim meri hamnavai ki

Tanz-o-tana-o-tohmat sab hunar hain naseh ke
Aap se koi puche hum ne kya burai ki

Phir qafas mein shor utha qaidiyon ka batur-e-sayad
Dekhna urra dega phir khabar rihai ki

Dukh howa jab uss der per kal faraz ko dekha,
Lakh aaib thy uss mein khoo na thi gudai ki

Poet :  Ahmed Faraz

Shared By
Admin

P3INCE  H@MM@D

https://www.facebook.com/PrinceHammad122

Monday 12 March 2018

Koi ummeed bar nahin aati,Koi soorat nazar nahin aati

Koi ummeed bar nahin aati , Koi soorat nazar nahin aati

https://go.oclasrv.com/afu.php?zoneid=1547316

 Koi ummeed bar nahin aati,
Koi soorat nazar nahin aati...

Maut ka ek din muayyan hai,
Neend kyon raat bhar nahin aati...

Aage aati thi hale dil pe hansi,
Ab kisi baat par nahin aati...

Janta hoon sababe-taato-zahad,
Par tabeeat idhar nahin aati...

Hai kuchh aisi hi baat jo chup hoon,
Varna kya baat kar nahin aati...

Kyon na cheehkoon ki yaad karte hain,
Meri awaaz gar nahin aati...

Marte hain aarzoo me marne ki,
Maut aati hai par nahin aati...

Kaba kis muh se jaoge Ghalib,
Sharm tumko magar nahin aati...

 Poet :  Mirza Ghalib

Shared By
Admin

P3INCE  H@MM@D

https://www.facebook.com/PrinceHammad122

Majnoo Ne Shehar Chora Tu Sehra Bhi Chor De

Majnoo Ne Shehar Chora Tu Sehra Bhi Chor De

https://go.oclasrv.com/afu.php?zoneid=1547316

Majnoo Ne Shehar Chora Tu Sehra Bhi Chor De,
Nazare Ki Hawas Ho To Laila Bhi Chor De,

Waiz ! Kamal-e-Tarak Se Milti Hai Yaan Murad,
Duniya Jo Chor Di To Uqba Bhi Chor De,

Taqleed Ki Rosh Se To Behtar Hai Khud Kushi,
Rasta Bhi Dhoond,Khizar Ka Soda Bhi Chor De,

Manind Khama Teri Zubaan Par Hai Harf-e-Ghair,
Begana Shey pe Nazish Be Ja Bhi Chor De,

Lutf-e-Kalam Kya Jo Na Ho Dil Main Dard-e-Ishq,
Bismil Nahi Hai Tu,Tu Tarapna Bhi Chor De,

Shabnam Ki Tarah Phoolon Par Ro,Aur Chaman Se Chal,
Iss Baagh Main Qayam ka Soda Bhi Chor De,

Hai Aashqi Main Rasam Alag Sab Se Bethna,
Butt Khana Bhi,Haram Bhi,Kaleesa Bhi Chor De,

Soda Gari Nahi,Yeh Ibadat Khuda Ki Hai,
Aye Be Khabar Jaza Ki Tamana Bhi Chor De,

Acha Hai Dil K Sath Rahe Paasban-e-Aqal,
Lekin Kabhi Kabhi Isse Tanha Bhi Chor De,

Jeena Woh Kya Jo Ho Nafas-e-Ghair Par Madar,
Shuhrat Ki Zindagi Ka Bharosa Bhi Chor De,

Shokhi Si Hai Sawal-e-Mukarar Main Aye Kaleem,
Shart-e-Raza yeh Hai K Taqaza Bhi Chor De,

Waiz Saboot Laye jo May K Jawaz Main,
Iqbal Ko Yeh Zid Hai K Peena Bhi Chor De,....!

 Poet : Dr Allama Iqbal

Shared By
Admin

P3INCE  H@MM@D

https://www.facebook.com/PrinceHammad122

 

Friday 9 March 2018

Haal Jesa Bhi Hai Logon Ko Sunaaon Kese

Haal Jesa Bhi Hai Logon Ko Sunaaon Kese

https://go.oclasrv.com/afu.php?zoneid=1547316

Toot jaye na bharam hont hilaaon kese,
Haal jesa bhi hai logon ko sunaaon kese,

Khushk ankhon se bhi ashkon ki mehak ati hai,
Main tere gham ko zamane se chupaaon kese,

Teri suurat hi meri ankhon ka sarmaya hai,
Tere chehre se nigaahon ko hattaaon kese,

Tu hi batlaa meri yaadon ko bhulaane wale,
Main teri yaad ko is dil se bhulaaon kese,

Phool hota to tere dar pe sajaa bhi deta,
Zakham le kar teri dehleez pe aaon kese,

Aayina maand parre saans bhi lene se adeem,
Itna naazuk ho taluq to nibhaaon kese,

Woh rulaata hai rulaye mujhe ji bhar ke adeem,
Meri aankhen hai woh main us ko rulaaon kese. 

Poet : Adeem Hashmi

Shared By
Admin

P3INCE  H@MM@D

https://www.facebook.com/PrinceHammad122

 


This Month Trending