Saturday 25 February 2017

Iqbal Teri Qoum Ka Iqbal Kho Gaya

Iqbal Teri Qoum Ka Iqbal Kho Gaya

https://go.oclasrv.com/afu.php?zoneid=1547316

Iqbal Teri Qaum Ka Iqbal Kho Gaya
Maazi Toh Sunehra Hai Magar Haal Kho Gaya,

Iqbal Teri Qaum Ka Iqbal Kho Gaya
Maazi Toh Sunehra Hai Magar Haal Kho Gaya,

 

Woh Rob-o-Dabdaba Woh Jalal KhoGaya

Woh Husn Be-Misal Woh Jamal Kho Gaya,


 


Doobay Hain Jawabon mein Par Sawal Kho Gaya

Iqbal Teri Qaum Ka Iqbal Kho Gaya,


 


Urhtay Jo Fizaon mein Thay Shaheen na Rahay

Bazauq Na Rahay Zaheen Na Rahay,


 


Pakeeza Ghar na Rahay Ba Deen naRahay

Woh Lala-o-Gulzaar Woh Meh Jabeen Na Rahay,


 


Momin Ka Woh Andaaz-e-Bakamal Kho Gaya

Iqbal Teri Qaum Ka Iqbal Kho Gaya.


Shared By

Ammar Hussain

https://www.facebook.com/ammar.hussain.50364


Tuesday 21 February 2017

Wo Jo Hal Tha Wohi Hal Hai Kaho Kis Tarha Naya Saal Hai

Wo Jo Hal Tha Wohi Hal Hai Kaho Kis Tarha Naya Saal Hai

https://go.oclasrv.com/afu.php?zoneid=1547316

Wo Jo Haal Tha Wohi Haal Hai, Kahon Kis Tarhan Naya Saal Hai

Wohi Zindagi Ke Wabaal Hai, Kahon Kis Tarhan Naya Saal Hai



Wohi Be Yaqeeni Hai Ku-Ba-Ku, Wohi Na Umeedi Hai Char Su,   


Jo Bhi Hai Sarapa Sawal Hai, Kahon Kis Tarhan Naya Saal Hai



Wohi Dast-O-Paa Wohi Chashm-o-lab Jo Gehan Mein The, Wo Gehan Mein Hain

Wohi Husn Jis Pe Zawaal Hai, Kahon Kis Tarhan Naya Saal Hai



Wohi Inteshaar Ki Zindagi Hai, Wohi Ghubar Si Zindagi Hai,

Wohi Saans Lena Mohaal Hai, Kahon Kis Tarhan Naya Saal Hai



Wohi Phool Phool Pe Titliyan Hain, Dari Hui Ke Mari Hui

Wohi Be Hisi Jo Kamal Hai, Kahon Kis Tarhan Naya Saal Hai



Wohi Khuwab Hain Ke Azaab Hain, Wohi Rooz-O-Shab Ke Sarab Hain,

Wohi Gardish-E-Meh-O-Saal Hai, Kahon Kis Tarhan Naya Saal Hai

 

Shared By
Admin

P3INCE  H@MM@D

 

https://www.facebook.com/PrinceHammad122

Thursday 9 February 2017

Teri Subah Keh Rahi Teri Raat Ka Fasana

Teri Subah Keh Rahi Teri Raat Ka Fasana

https://go.oclasrv.com/afu.php?zoneid=1547316

Kehna ghalat ghalat tou chupana sahi sahi
Qasid kaha jo us ne batana sahi sahi

Ye subho subho cheahre ki rangat uri uri
Kal raat tum kahan thay batana sahi sahi

 

Ye uri uri si rangat ye khule khule se gaso
Teri subho keh rahi he teri Raat ka fasana

 


Dil le k mera hath me kehte hain muj se wo
Kya lo ge is k daam batana sahi sahi

 


Ankhain milao ghair se tu hum ko janna
Saqi tumhe qasam he pilana sahi sahi

 

Shared By
Admin

P3INCE  H@MM@D

 

https://www.facebook.com/PrinceHammad122

 

Tuesday 7 February 2017

Halat Ke Qadmon Pe Qalandar Nahi Girta

Halat Ke Qadmon Pe Qalandar Nahi Girta

https://go.oclasrv.com/afu.php?zoneid=1547316

 
Haalat K Qadmon Pe Qalandar Nahin Girta,
Tootay Bhi Jo Taara To Zameen Per Nahin Girta.

Girtay Hain Barray Shauq Se Samandar Mein Darya,
Lekin Kisi Darya Mein Samandar Nahin Girta.

Samjho Wahan Phal-daar Shajar Koi Nahin Hai,
Wo Sehan K Jis Mein Koi Pathar Nahin Girta.

Hairaan Hai Kaii Roz Se Thehra Hua Pani,
Taalaab Mein Ab Kyun Koi Kankar Nahin Girta.

Us Banda e Khuddaar Pe Hai Nabiyon Ka Saaya,
Jo Bhook Mein Bhi Luqma e Tar Per Nahin Girta.


Qaayem Hai Qateel Ab Ye Meray Sir K Satoon Per,
Bhonchaal Bhi Aaye To Mera Ghar Nahin Girta .. !!

Poet : Qateel Shifaii ..

 

Shared By
Admin

P3INCE  H@MM@D

 

https://www.facebook.com/PrinceHammad122

Wednesday 1 February 2017

Hai Ashiqui Main Rasm Alag Sab Se Bethna

Hai Ashiqui Main Rasm Alag Sab Se Bethna

https://go.oclasrv.com/afu.php?zoneid=1547316

 

Hai Aashaqi Me Rasm Alag Sab Se Bethna,

But Khana Bhi, Haram Bhi, Kaleesa Bhi Chor Day...

Soda_Gari Nahi Yeh iBadat Khuda Ki Hai,

 Aye Be_Khabar! Jaza Ki Tamanna Bhi Chor Day..

  Poet : Dr Allama Iqbal

Shared By
Admin

P3INCE  H@MM@D

 

https://www.facebook.com/PrinceHammad122

This Month Trending