Saturday 17 December 2016

Sar Jhukaogay Tu Pathar Bhi Devta Ho Jayega

Sar Jhukaogay Tu Pathar Bhi Devta Ho Jayega

https://go.oclasrv.com/afu.php?zoneid=1547316

Sar jhukaoge to patthar devta ho jayega
Itna mat chaaho ussey woh bewafah ho jayega

Hum bhi darya hain humein apna hunar maloom hai
Jis taraf bhi chal padega raasta ho jayega

Kitni sacchai se mujh se zindagi ne keh diya
Tu nahin mera toh koi dusraa ho jayega

Main Khuda ka naam le kar pi raha hoon doston
Zeher bhi iss mein agar hoga toh dawaa ho jayega

Sab usi ke hain hawa, khushboo, zameen-o-aasmaan
Main jahaan bhi jaungaa, uss ko pataa ho jayega.
                                                                        - Bashir Badr.

 


TRANSLATED:-

Revere a stone and it becomes a God
Never cling to it, else it abandons you

But my life is verily a river, i know,
Paths will be made when my merits flow

Life admits the truth when I hear it say
You might not yield to me; some one else may

But I take a draught in the name of my God
Any poison it holds will turn to cure

It is His, this air, this scent, this earth and sky;
Wherever I go, He will not fail to descry.


Poet : Bashir Badr

Shared By
Admin


P3INCE  H@MM@D

https://www.facebook.com/PrinceHammad122

Ana Meri Qabar Par Do Phool Carha Jana

Ana Meri Qabar Par Do Phool Carha Jana

https://go.oclasrv.com/afu.php?zoneid=1547316 
Versions 

    Aana meri qabar par do phool chadha jana,

    Rona na aaye muskarake chale jana,

    Meri qabar par ek baar zaroor aana,

    Magar shart hai k aansoon na bahana,

    Taklif hogi ro0oh ko bhi aansoon jo aap k nikalenge,

    Rooh royegi meri rooh ko na tadpaya karna,

    Tere khuwabon main aaya karon zaroor,

    Kabhi yaad karke meri mohabbat ko azmaya karna,

    Meri qabar pe phool na chadhana aansoovon ke,

    Bas aakar qabar pe apni mohabbat ka saya karna,

    Meri dua hai k tera ghar khusboo se bhara rahe,

    Tum khushi ki har mehfil main jaya karna,

    Meri yaad main na khona udaas hokar,

    Apne humsafar ki aagosh main sojaya karna,

    Kabhi rokar mat pukarna mujhe,

    Main wanha se wapis nahi avunga

Another Version 

Poet : Mohsin Naqvi

Shared By
Admin


P3INCE  H@MM@D

https://www.facebook.com/PrinceHammad122

 

This Month Trending