Halat Ke Qadmon Pe Qalandar Nahi Girta February 07, 2017 Leave a Reply Halat Ke Qadmon Pe Qalandar Nahi Girta Haalat K Qadmon Pe Qalandar Nahin Girta, Tootay Bhi Jo Taara To Zameen Per Nahin Girta. Girtay Hain Barray Shauq Se Samandar Mein Darya, Lekin Kisi Darya Mein Samandar Nahin Girta. Samjho Wahan Phal-daar Shajar Koi Nahin Hai, Wo Sehan K Jis Mein Koi Pathar Nahin Girta. Hairaan Hai Kaii Roz Se Thehra Hua Pani, Taalaab Mein Ab Kyun Koi Kankar Nahin Girta. Us Banda e Khuddaar Pe Hai Nabiyon Ka Saaya, Jo Bhook Mein Bhi Luqma e Tar Per Nahin Girta. Qaayem Hai Qateel Ab Ye Meray Sir K Satoon Per, Bhonchaal Bhi Aaye To Mera Ghar Nahin Girta .. !! Poet : Qateel Shifaii .. Shared By Admin P3INCE H@MM@D Categories: Ghazals Qateel Shifai Continue reading
Mil Kar Juda Huway Tu Na Soya Karaingay Hum November 10, 2016 Leave a Reply Mil Kar Juda Huway Tu Na Soya Karaingay Hum mil kar judā hue to na soyā kareñge ham ik dūsre kī yaad meñ royā kareñge ham aañsū jhalak jhalak ke satā.eñge raat bhar motī palak palak meñ piroyā kareñge ham jab dūriyoñ kī aag diloñ ko jalā.egī jismoñ ko chāñdnī meñ bhigoyā kareñge ham bin kar har ek bazm kā mauzū-e-guftugū sheroñ meñ tere ġham ko samoyā kareñge ham majbūriyoñ ke zahr se kar leñge ḳhud-kushī ye buzdilī kā jurm bhī goyā kareñge ham dil jal rahā hai zard shajar dekh dekh kar ab chāhatoñ ke biij na boyā kareñge ham gar de gayā daġhā hameñ tūfān bhī 'qatīl' sāhil pe kashtiyoñ ko Duboyā kareñge ham Poet : Qateel Shifai Shared By Admin P3INCE H@MM@D Categories: Ghazals Qateel Shifai Continue reading