Zer e Khanjar Bhi Yeh Pegham Sunaya Hum Ne March 01, 2017 Leave a Reply Zer e Zanjeer Bhi Yeh Pegham Sunaya Hum Ne Aye Khuda shikwa-e-arbab-e-wafa bhi sun le,Khu gar-e-hamd se thoda sa gila bhi sun le.Thi toh maujood azal se hi teri zaat-e-qadim,Phool tha zeb-e-chaman, par na pareshan thi shamim;Shart insaaf hai, aye, sahib-e-altaf-e-amim,Boo-e-gul phailti kis tarah jo hoti na nasim?Hum se pahle tha ajab tere jahan ka manzir,Kahin masjood the patthar, kahin maabood shajar,Khugar-e-paikar-e-mahsoos thi insaan ki nazar,Maanta phir koi un-dekhe Khuda ko kyonkar?Tujhko maaloom hai leta tha koi naam tera?Quwwat-e-baazoo-e-Muslim ne kiya kaam tera! Bas rahe the yahin salijuq bhi, toorani bhi,Ahl-e-chin cheen mein, Iran mein sasaani bhi,Isi maamoore mein aabad the Yunaani bhi,Isi duniya mein Yahudi bhi the, Nusraani bhi,Par tere naam pe talwar uthai kis ne,Baat joh bigdi huyi thi woh banaayi kis ne? The hameen ek tere maarka aaraaon mein!Khushkion mein kabhi ladte, kabhi dariyaon mein,Di azaanen kabhi Europe ke kaleesaaon mein,Kabhi Africa ke tapte huye sahraaon mein.Thi na kuchh teg zani apni hakumat ke liye,Sar ba-kaf phirte the kya dahar mein daulat ke liye? Qaum apni jo zar-o-maal-e-jahan par marti,But faroshi ke iwaz but shikni kyon karti? Tal na saktay thay agar jung main ar jatay thay Paon Sheron Ke bhi medan se Ukhar Jatay Thay Tujhse Sarkash howa koi Tu bigar jatay Thay Tegh Kiya Cheez hai Hum Toup Se Lar Jaty ThayNaqsh tauheed ka har dil pe bithaya hum ne,Zer-e-khanjar bhi yeh paigham sunaya hum ne. Half Poetry Of Allama Iqbal " Shikwa " Shared By Saeed Ahmed Categories: Ghazals Continue reading